Kabhi To Aasmaan Se Chaand Utaare Jaam Ho Jaaye…
December4
Kabhi To Aasmaan Se Chaand Utaare Jaam Ho Jaaye
Tumhaare Naam Ki Ek Khoobsurat Shaam Ho Jaye
Wo Meraa Naam Se Sunkar Kuchh Jaraa Sharmaa Se Jaate Hain
Bahut Mumkin Hai Kal Iskaa Mohbaat Naam Ho Jaye
Jaraa Saa Muskuraa Ker Haal Poochho Dil Bahal Jaaye
Hamaaraa Kaam Ho Jaaye Tumhaara Naam Ho Jaaye
Ujaale Apni Yaadon Ke Hamaare Saath Rahne Do
Na Jaane Kis Gali Me Jindagi Ki Shaam Ho Jaaye